Na jaane kaisa mausam ho dushaala le liya jaaye
Ujaala mil raha hai to ujaala le liya jaaye
Chalo kuch der baithe doston me gum jaroori hai
Ghazal ke waaste thoda masaala le liya jaaye
Badi hone lagi hai moorten aangan me mitti ki
Bahut se kaam baaki hai sambhaala le liya jaaye
Suna hai in dino baazar me har cheez milti hai
Kisi nakkaad se koi maqaala le liya jaaye
Numaaish me jab aaye hai to kuchh lena jaroori hai
Chalo koi muhabbat karne waala le liya jaaye
No comments:
Post a Comment